shree hanuman sathika 60 in english sub with meaning

                                                                                                  " JAI SHREE RAM "


SHREE HANUMAN SATHIKA / HANUMADH BANDHIMOCHAN PAATH

" JAI SHREE GANESHAY NAMAH " 
" JAI SHREE RAM "

|| DOHA ||

BEER BAKHANO PAWANSUTT, JANAT SAKAL JAHAN |
DHANYA-DHANYA ANJANI TANAY, SHANKAR, HAR, HANUMAN ||

 Veer pawankumar ki keerti keheta hu, Jinko sara sansaar jaanta hai.
Hey Anjani putra, Hey Bhawan Shankar k Avtaar, Hey Ram Bhakt Hanuman ji,
Aap Dhanya hai, Aap dhanya hai.

|| CHOPAI ||

JAI JAI JAI HANUMAN ADANGI | MAHAVEER VIKRAM BAJRANGI ||
JAI KAPEES JAI PAWANKUMARA | JAI JUGG BANDHAN SEEL AGARA ||
JAI AADITYA AMAR ABIKARA | ARI MARDAN JAI-JAI GIRDHARI ||
ANJANI UDER JANAM TUM LINHA | JAI-JAIKAAR DEVTAN KINHA ||

 Hey hanuman ji, aapki Jai Ho , Jai Ho , Jai Ho. aapki Gatti(speed) abaadhya(unmatchable) hai.
Koi aapka marg nhi rook sakta , Hey Vajra k saman kathoor Angowale Mahaveer, apki Jai Ho , Jai Ho.
Hey kapio k raja aapki Jai Ho, Hey pawanputra aapki Jai Ho. Hey sansaar me vaandaiya ! Hey Gunno k bhandaar aapki Jai Ho. Hey kartavya praveen, Hey dev,Hey avikaari, aapki Jai Ho. Hey shatruo ka naash karne wale aapki Jai Ho.Hey Droonparvat ko uthanewale aapki Jai Ho. Aapne mata anjani k garb se janam liya tab sarva devtao ne Jai-Jaikaar kiya.

BAAJE DUNDUBHI GAGAN GAMBHIRA | SUR MANN HARSH ASUR MANN PIRA||
KAPI K DARR GADD LANK SAKANI | CHUTE BANDH DEVTAN JANI ||
RISHI SAMUHH NIKAT CHALI AYE | PAWAN TANAY K PAD SIRR NAYE ||
BAAR BAAR ASTUTI KARI NANA | NIRMAL NAAM DHARA HANUMANA ||

 Akaash me nagade baje, Devta harshit huye, Asur Danav ko pidaa hui. Aapke darr se Lanka
me rehene wale bhaybheet hue. Aapne devtao ko waha bandhan se Mukt kiya, ye sab jaante hai.
Rishiyo a samuhh aapke paas aake Hey pawankumar aapke charano me sirr navaye, Aur bohot prakar se baar baar aapki Astuti ki aur aapk a pawaan naam HANUMAN rekha gaya.

SAKAL RUSHIN MILI AAS MAT THANA | DINHI BATAYE LAAL PHAAL KHANA ||
SUNAT VACHAAN KAPI MANN HARSHANA | RAVI RAATH UDAY LAAL PHAAL JANA||
RAATH SAMEET KAPI KINHI AAHARA | SURYA BINA BHAY ATI ANDHIYARA ||
VINAY TUMHAR KARE AKULAANAA | TAB KAPEES KI ASTUTI THANA||

Sab Rishio ne sarva sammati se aapko laal phaal khane ki prerna di, Jise sunkar aap bohot 
harshit huye, Aur Surya ko Laal phaal samajhkar ,Raath sameet pakad kar mukh me rekh liya.
Tab Atyantt Bhayy chhaa gaya aur HaaHaaKaar maach gaya. Surya bina sab Devta aur Muni
Vyakul Hookar aapki stuti karne lage.

SAKAL LOK VRUTAANT SUNAVAA | CHATURAANAN TAB RAVI UGILAVA||
KHA BAHORI SUNAHU BALSHEELA | RAMCHANDRA KARIHE BAHU LEELA ||
TAB TUM UNNHKAR KAREHU SAHAI | AB HI BASEHU KAANAN ME JAYI ||
AASKAHI VIDHI NIJJ LOK SIDHAARA | MILLE SAKHA SANG PAWANKUMARA ||

Saare sansaar ki dasha dekh, Brahma ji ne Surya ko mukt karne k liye aapko manaya.
Tab Unne Aapse vinati ki Hey Mahaveer ! ki, Suniye Shree Ramchandra Ji mahaan
leelaye karenge tab aap unki sahayata kariyega. Abh to aap vann me jakar rahiye. Yah kehekar Brahma ji apne lok ko sidhare. Aur aap Hey pawankumar aapne sakhao me mill gaye.

KHELE KHEEL MAHA TRU TORE | DHEER KARE BAHU PARVAT PHOODE ||
JEHI GIRI CHARAN DEHI KAPI DHAAI | GIRI SAMEET PATAAL HI JAYI ||
KAPI SUGREEV BALI KI TRAASA| NIRAKHTI RAHE RAM MGU AASA ||
MILLE RAM TAH PAWANKUMARA | ATI ANAND SAPREM DULARA ||

Kheel-Kheel me aapne bade-bade vruksh tood dale aur Parvato ko phood phood kar marg
banaye. Hey Prabhu, jis parvat pur aapne Charan rekha vhh sidha Pataal me Dhaas gaya (chala 
gaya). Sugreev Bali se darre hue the, Shreeram ji ki pratiksha karte hue Nirbhay the. aapne 
unhe Ramchandra ji se mila k unka Uddhaar kiya. Hey pawankumar aapko isme badaanand hua.

MANI MUDRI RAGHUPATI SO PAYI | SITA KHOOJ CHALE SIR NAYI ||
SATTYOJAN JAL NIDHI VISTARA | AGAM APAAR DEVTAN HARA ||
JIMI SAR GOKHUR SARIR KAPEESA | LAANGHI GAYE KAPI KAHI JAGDEESHA ||
SITA CHARAN SISS TIN NAYE | AJAR AMAR K AASISS PAYE ||

Hey hanuman ji Shree Raghuvendra se aapko mani jadit Angoothi mili jise lekar aap
Maa Sita ko khooj ne chale gaye. Hey Prabhu 100 Yojan ka vishaal ,atah,samudra jise
"JAI SHREE RAM" kehkar bina thakke, sehej hi aapne, Gaye (cow) k khoor k saman laangh lia.
Aur Sita maa k pass pohoch kar aapne unke Charano me sirr navaya. Aur Mata se aapne 
AJAR AMAR ka Vardaan paya.

RAHE DANUJ UPVAAN REKHWARI | EK SE EK MAHABHAAT BHAARI ||
TINHE MAARI PUNI KAHEU KAPEESA | DAHEU LANK KOOPYO BHUJ BEESA ||
SIYA BOODH DE PUNI FIR AYE || RAMCHANDRA K PAD SIRR NAYE ||
MERU UPARI AAP CHIN MAHI | BANDHE SETU NIMISH EK MAHI ||

Ek se Ek bhayankar voddha ,rakshas vatika ki rekhwali karte the. Unhe aapne mara,
upvann ko naasth kiya. Lanka ko jala k Bhaasm kiya jisse Ravan bhaybheet hokar kaap gaya.
Aapne Sita maa ko Dheeraj rekhne kaha aur laut kar Shreeram ji k charano me ,sir navaya.
Bade-Bade parvato ko laakar aapne ,samudra par pull bandhvaya.

LAXMAN SHAKTI LAGI UR JABHI | RAM BULAYE KAHA PUNI TAB HI ||
BHAWAN SAMEET SUSHEEN LE AYE | TURAT SAJEEVAN KO PUNI DHAYE ||
MGG MHH KAALNEHMI KEH MARA | AMIT SUBHAT NISICHAAR SANHAARA ||
AANI SANJEEVAN GIRI SAMEETA | DHARI DINHO JEH KRIPA NIKETA ||

Jab laxman ji ko shakti lagi, tab Shree ram ji ne bohot vilaap kiya. Aap susheen vadh ko 
bhawan sameet le aye. aur bade Veegh se sanjeevni booti lane gaye. Raaste me kaalnehmi 
ko maara aur bohotse yoddhao ko naasth kiya. Aapne parvat sameet Sanjeevni ko lakar 
shree Ram k pass rekh diya.

FUNPATI KER SOK HARI LINHA | VARSH SUMAN SUR JAI JAI KINHA ||
AHIRAVAN HARI ANUJ SAMEETA | LE GAYE TAHA PATAAL NIKETA ||
JAHA RAHE DEVI ASTHAANA | DEEN CHAHE BALI KADHI KRIPANA ||
PAWANTANAYE PRABHU KINHI GUHARI | KATAK SAMEET NISACHAAR MARI ||

Aapne laxman ji k sankat ko dur kar diya. Devtao ne pushp varsha karke Jai-Jaikaar kiya.
Ahiravan Shreeram laxman dono ko pataal le gaya. Waha Devi ko Bali dene k liye jab
Talvaar nikali Usshi samay Hanuman ji aapne waha pohoch kar usse Lalkara aur usse sena 
sameet maa dala.

REECH KISPATI SABHY BAHORI | RAM LAKHAN KINHE YEHE THORI ||
SAB DEVTAN KI BANDHI CHUDAYO | SO KEERTI MUNI NAARAD GAYO ||
AKSHAY KUMAR DANUJ BALWANA | KAALKETU KEHE SAB JUG JANA||
KUMBHKARNA RAVANKA BHAI | TAHI NIPAAT KINHI KAPIRAI ||

Jaha jaamvant aur sugree the, Waha aap Shreeram laxman ko lauta laye.Aapne sab Devtao
ko bandhan se chudaya. Narad Muni ne aapka yashgaan kiya. Akshay kumar bahut balwaan
tha,jise swami ketu kehete yeh sara Sansaar janta hai. Ravan ka bhai kumbhkaran tha, Hey
Hanuman ji insab ka aapne Vinaash kiya.

MEGHNATH PUR SHAKTI MARA | PAWAN TANAY TAB SO BARIYARA ||
REHA TANAY NARANTAK JANA | PAL ME HATE TAHI HANUMANA ||
JAHA LAGI BHAAN DANUJ KAR PAVA | PAWANTANAY SAB MAARI NASAVA ||
JAI MARUT SUT JAI ANUKULA | NAAM KRUSANU SOK TULA ||

Aapne udh me meghnath ko pachada ,Hey pawankumar aapke saman kon Balwaan hai.
mool nakshatra me janm lene wale Narantak naam Ravan k putra ko Hey Mahaveer aapne
Ek pal me samapt kar diya.Jaha-Jaha aapne Rakshaso ko paya ,Hey Shiv Avtaar, aapne unhe
maar kar dhakeel diya. Hey pawanpurta aapki Jai ho, Aap Sevako k karya siddhi me sahayak
huye. Unke Shook roop RaE ko jalaneme aapka naam Agni k samaan hai.

JAHA JIVAN K SANKAT HOI | RAVI TAM SAM SO SANKAT KHOI ||
BANDHI PRE SUMIRE HANUMANA | SANKAT KAATE DHARE JO DHAYANA ||
JO BANDH BAMPAD DINHA | MARUT SUT VYAKUL BAHU KINHA ||
SAU BHUJBAL KA KEEN KRUPALA | ACCHAT TUMHE MOOR YEH HALA ||

Jiske jeevan me sankat ho, aap usse vese hi dur karte hai jaise, Andhkaar ko surya.
Hey hanuman ji bandhi jo aapka smaran karta hai, uski reksha karne k liye aap gada aur 
chakra lekar chal padte hai. Yumraj ko bhi uper disha me feek dete hai aur mrutu ko bhi 
bandhkar unki buri dasha karte hai. Hey krupa sagar aapki yeh sharirik shakti kaha gai jo
aapke rehete meri yeh dasha ho rahi hai.

AARAT HARAN NAAM HANUMANA | SADAR SURPATI KIN BAKHANA ||
SANKAT RAHE NA EK RATI KO | DHYAN DHARE HANUMAT JATI KO ||
DHAVAHU DEKHI DEENTA MORI | KAHO PAWANSUT JUGKAR JORI ||
KAPIPATI BEGI ANUGRAHA KARHU | AATUR AAI DUSE DUKH HARHU ||

Hey Hanuman ji aapka naam Sankatmochan hai. Shree sarasvati ji aur devraj indra aisa
varnan karte hai ki , Jo vyakti Brahmachari Hanuman ji aapka usse ek ratti ke barabar bhay
sankat mhi rehe sakta. Aap meri deenta dekh kar teevra gati se aye aur mere bandhano ko 
kaat dijiye.Mai haath jod kar vinati karta hu Hay prabhu ! sheegr krupa kijiye. Mujh 
daas ka dukh dur karne k liye aap utaavle hoker aaiye.

RAM SAPATH MAI TUMHI SUNAYA | JAWAN GUHAAR LAG SIYA JAYA ||
YASH TUMHAR SAKAL JUG JANA | BHAV BANDHAN BHANJAN HANUMANA ||
YEH BANDHAN KAR KETIK BATA | NAAM TUMHAR JAGAT SUKHDATA ||
KRO KRUPA JAI JAI JUG SWAMI | BAAR ANEK NAMAMI NAMAMI |

Hey shiv avtaar yadi aap meri, pukar sun kar na aao to mai aapko shree ram ji ki shapat 
deta hu. Aapka yash sara sansaar jaanta hai hanuman ji. Aap sansaar me bar bar janam lene 
k bhay ko bhi dur kar dete hai, Fir mera yaha bandhan kitnasa hai ? Aapka jagat sukhdata
naam hai. Hay jug k swami aapki Jai ho , aap krupa kijiye. Mai anek baar aapko namaskaar
karta hu.

BHOOMVAAR KAR HOM VIDHANA | DHOOP DEEP NEVEDH SUJANA ||
MANGAL DAYAK KO LAU LAVE | SUNKAR MUNI VANCHIT PHAAL PAVE ||
JAYATI-JAYATI JAY JAY JUG SWAMI | SUMIRAT PURUSH SUANTERJAMI ||
ANJANI TANAY NAAM HANUMANA | SO TULSI KE PRAAN SAMANA ||

Jo koi mangalwaar ko vidhipurvak hawan karre, Dhup,Deep, Nevedh samarpit kare aur
Mangalkarak shree hanuman ji me mann lagaye veh chahe Devta Ho, Muni Ho, ya Manushya 
turant hi uska phaal payega. Hey jagat k swami aapki Jai Ho, Jai Ho,Jai Jai Ho. Hey hanumanji
aap Samarthvishvaatma, mann ki baat jaane wale,Anjaney aapka naam. Aap Tulsi k Praan 
saman hai.


|| DOHA ||

JAI KAPEES SUGREEV TUM | JAI ANGAAD HANUMAN ||
RAM LAKHAN SITA SAHIT | SADA KARO KALYAAN ||
BANDHO HANUMAT NAAM YEHE | BHOMVAAR PARMAAN ||
DHYAN DHARE NAR NISHCHAY | PAVE PAD KALYAAN ||
JO NIT PADHE YEH SATHIKA | TULSI KAHE VICHARI ||
RAHE NA SANKAT TAHIKO | SAKSHI HAI TRIPURARI ||

Sugreev ji ki Jai, Angaad ji ki Jai, Hanuman ji ki Jai,Hei prabhu,
ram Lakhan Sita sahit aap sada karo kalyaan. Mangalwaar ko praman
maankar hanuman jinka yeh paath dhyan se karta hai, vehe klyankaari 
parampadh prapt karta hai. Tulsidas ji ka yehe kehena hai ki jo koi iss
hanuman sathika ka niyamit paath karega vehe kabhi sankat me nhi 
padega. Shree Shiv ji sakshi hai.


|| SAVEYA ||

AARAT BAN PUKARAT HO KAPINATH SUNO VINATI MAM BHARI |
ANGAAD SO NAL-NEEL MAHABALI DEV SADA BAL KI BALIHARI ||
JAAMVANT SUGREEV PAWANSUT DIVID MAYAND MAHABHAAT BHARI |
DUKH DOSH HARO TULSI JAAN KO SHREE DVADASH BIRAN KI BALIHARI ||

(Shree Tulsidas ji kehete hai) Hai Hanuman ji mai bhaari vipatti me padkar 
aapko pukaar raha hu. Aap meri vinay suniye. Angaad, Nal, Neel, Mahadev,
Raja Bali, Bhagwan Ram, Balram, shurveer, jaamvant, sugreev, pawanputra
hanuman, dvid aur mayand, Inn barah veero ki mai balihari hu, Bhakt k dukh
aur dosh ko dur kijiye.


" JAI SHREE RAM "


Shree Hanuman Sathika or Hanumadh Bandhimochan Paath, is an incredible prayer of Lord Hanuman. It has sixty 'Chopais' so the name is 'Sathika'. This was written by the Great devotee Bhakt of Shree Ram & Lord Hanuman, saint poet Shree Tulsidas Ji maharaj. Recitation of this prayer eliminates illness, debts, obligations and enemies in the path to success in one's life. You can start the paath of Shri Hanuman Sathika from any Tuesday. One should recite this for 60 days whole unbroken to get previously mentioned benefits. One should rise up early in the morning, Have bath, Wear Fresh clothes, sit on aasan & starting with the name of Shree Ganesh ji, Do appropriate pooja of Shree Ram ji and hanuman ji, Than one should begin reciting Shri Hanuman Sathika. God comes when we
need him. He is oue creator, He cannot forget us. 


  
 


 
 
 
  

 

Comments